Thursday, February 4, 2010

Dreams...

Kya Khub Hai Ye Band Aankhon Ki Duniya,
Yahan Nibhti Hai Jo Hai Apne Mann Ki,
Gunjti Hai Yahan Khushiyon Ki Khilkhilahat,
Baatein Hoti Hai Apnepan Ki.

Kabhi Mein Arab Desh Ka Baadshah Hota,
Kabhi Hind Desh Ka Wazir.
Par Jis Desh Ka Bhi Raja Hota,
Mauz Karta Wahan Har Fakir.

Har Pal Sang Hoti Hai Mitro Ki Toli,
Hota Hai Mann Ka Koi Meet,
Jab Mann Karta Mein Hun Khelta Kudta,
Jab Mann Karta Gata Hun Geet.

Na Hoti Hai Koi Adhuri Aasha,
Na Muskil Hota Hai Koi Kaam,
Jab Jee Hota Hai Wahan Chala Jata,
Ghum Aata Desh, Videsh, Char Dhaam.

Har Dil Pe Mein Hun Raaj Karta,
Har Kisi Ko Hai Mujhse Pyaar,
Jisse Jee Mein Aata Yaad Karta,
Main Hota Sabka Mitr, Sabka Yaar.

Ye Toh Hai Sapno Ki Mehfil,
Jisse Kehte Hai Mann Ka Pratibimb,
Isliye Toh Dekhta Hun Mein Sapne,
Chaiye Ho Soti Raat Ya Jagta Hua Din.

2 comments: